Lyrics :
O kalp-vraksh ki son-juhi, O amal-tas ki amar kali
Dharti ke aatap se jalte, Man par chaayi nirmal badli
Main tumko madhu-sad-gandh yukt, sansaar nahi de paunga !
Tum mujhko karna maaf priye main pyar nahi de paunga !!

Tum kalp-vraksh ka fool aur Main dharti ka adna gayak
Tum jeewan ke upbhog yogya Main nahi adhuri gazal shubhey
Tum saam-gaan si pawan ho Himshikharon par sehsa kaundha
Bijuri si tum man bhawan ho Isliye vyarth shabdo wala, vyapar nahi de paunga !
Tum mujhko karna maaf priye main pyar nahi de paunga !!
Tum jeewan ke upbhog yogya Main nahi adhuri gazal shubhey
Tum saam-gaan si pawan ho Himshikharon par sehsa kaundha
Bijuri si tum man bhawan ho Isliye vyarth shabdo wala, vyapar nahi de paunga !
Tum mujhko karna maaf priye main pyar nahi de paunga !!
Tum jis shaiya par shayan karo, Veh sheer sindh si pawan ho
Jis aangan ki ho maul-shree Veh aangan kya vrandawan ho
Jin adhron ka chumban pao Veh adhar nahin ganga tat ho
Jiski chaya ban saath raho Veh vyakti nahin vanshi-vat ho
Par main vat jaisa saghan chaaon ,vistaar nahin de paunga !
Tum mujhko karna maaf main pyar nahi de paunga !!

Main tumko chand sitaron ka Saupun uphar bhala kaise
Main yayavar banjara sadhu sur-sansar bhala kaise
Main jeewan ke prashno se nata Tod, tumhare saath shubhe !
Barudi bichi dharti par kar loon Do pal pyar bhala kaise
Isliye vivash har aanson ko, satkaar nahi de paunga !
Tum mujhko karna maaf tumhe main pyar nahi de paunga !!

~ Dr. Kumar Vishwas
love u........sir,
ReplyDeleteawsome creation
marvallus.........the son f hindi
ReplyDeletekumar ji ab kya rulaoge
ReplyDelete